Wednesday, November 25, 2009

JAZBAA

Tham ke daman sach ka, sooli pe chadh jana chahta hu.
Junoon-e-Ishq me main, yeh kya kar jana chahta hu.

Zarra hokar bhi, aasman ki bulandi chhoona chahta hu.
Kagaz ki kashti se, dareya paar karna chahta hu.

Ret ke sehra ko, samandar karna chahta hu.
Sang-reza hu abhi, main ghohar hona chahta hu.

Aasman ko cheer kar, sooraj se ankh milana chahta hu.
Apni dhoop me jalkar, sooraj hona chahta hu.

Zameen-o-aasman ki, hadein milana chahta hu.
Faasla mashriq-w-maghrib ka, mitana chahta hu.

har mode pe ruk-ruk ke, sambhlna chahta hu.
Itna darta hu, phir bhi ghar se niklna chahta hu.

Aebon ke Chhipane aur dikhane ka, fark hai sayah-w-safed.
Yahi falsfa zamaane ko samjhana chahta hu. (Im5ab!)

1 comment: